Popular Posts

Friday, July 1, 2011

INSPIRATION

a very inspirational poem

usuulon pe jahan aanch aaye takrana zaroori hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai


nayi umron ki khud_mukhtaariyon ko kaun samjhaye
kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai


thake haare parinde jab basere ke liye laute
saliqaamand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai


bahut bebaak aankhon mein ta'alluq tikk nahi paata
muhabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai


saliqa hi nahi shaayad use mahsuus karne ka
jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai.



No comments:

Post a Comment